top of page

Bada Natkhat Hai Yeh

Movie:  

Amar Prem (1972)

Music Director:  

R D Burman

Lyricist:  

Anand Bakshi

Youtube Video Link:  

Bada natakhat hai re krishna kanhaiya, ka kare yashoda maiya
Bada natakhat hai re krishna kanhaiya, ka kare yashoda maiya
Ha bada natakhat hai re

Doondhe ri ankhiya use charon or
Jane kahan chip gaya nandakishor
Doondhe ri ankhiyan use charon or
Jane kahan chip gaya nandakishor
Ud gaya aise jaise purvaiya, ka kare yashoda maiya
Haan bada natakhat hai re

Mere jeevan ka tu ek hi sapna
Jo koyi dekhe tohe samjhe woh apna
Mere jeevan ka tu ek hi sapna
Jo koyi dekhe tohe samjhe wo apna
Sab ka hai pyara, ho sab ka hai pyara bansi bajiaya
Ka kare yashoda maiya
Ha bada natakhat hai re krishna kanhaiya, ka kare yashoda maiya
Haaan bada natakhat hai re

bottom of page