top of page

Chingari Koi Bhadke

Movie:  

Amar Prem (1972)

Music Director:  

R D Burman

Lyricist:  

Anand Bakshi

Youtube Video Link:  

Chingari koi bhadke
Chingari koi bhadke, to savan use bhujaye
Savan jo agan lagaaye, use kaun bhujaye
Ho use kaun bhujaye
Patjhad jo baag ujade, vo baag bahar khilaye
Jo baag bahar mein ujde, use kaun khilaye
Ho use kaun khilaye

Humse mat pucho kaise, mandir toota sapno ka
Humse mat pucho kaise, mandir toota sapno ka
Logon ki baat nahin hai, ye kissa hai apno ka
Koi dushman thes lagaye, to meet jiya behlaye
Manmeet jo ghaav lagaye, use kaun mitaye

Na jane kya ho jata, jane hum kya kar jate
Na jane kya ho jata, jane hum kya kar jate
Peete hain to zinda hain, na peete to mar jate
Duniya jo pyasa rakhe, to madira pyas bhujaye
Madira jo pyas lagaye, use kaun bhujaye
Ho use kaun bhujaye

Maana toofan ke aage, nahin chalta zor kisi ka
Maana toofan ke aage, nahin chalta zor kisi ka
Maujon ka dosh nahin hai, yeh dosh hai aur kisi ka
Majdhar mein naiya dole, to manjhi paar lagaye
Maanjhi jo naav duboye, use kaun bachaye
Ho use kaun bachaye, chingari

bottom of page