top of page

Kuch To Log Kahenge

Movie:  

Amar Prem (1972)

Music Director:  

R D Burman

Lyricist:  

Anand Bakshi

Youtube Video Link:  

Kuch to log kahenge, logon ka kaam hai kehana
Chodo bekar ki baton mein kahin beet na jaye raina
Kuch to log kahenge, logon ka kaam hai kehna

Kuch to log kahenge

Kuch reet jagat ki aisi hai, har ek subah ki sham hui

Tu kaun hai, tera naam hai kya, seeta bhi yahan badnaam hui
Phir kyun sansar ki baton se, bhig gaye tere naina
Kuch to log kahenge, logon ka kaam hai kehna
Chodo bekar ki baton mein kahin beet na jaye raina
Kuch to log kahenge

Humko jo taane dete hain, hum khoye hain in rang raliyon mein

Hamne unko bhi chup chup ke, aate dekha in galiyon mein
Yeh sach hai jhoothi baat nahin, tum bolo ye sach hai na

bottom of page