top of page

Sab Kuch Seekha Humne

Movie:  

Anari (1959)

Music Director:  

Shankar Jaikishan

Lyricist:  

Shailendra

Youtube Video Link:  

Sab kuch sikha hum ne na sikhi hoshiyari
Sab kuch sikha hum ne na sikhi hoshiyari
Sach hai duniya walon ki ham hai anadi

Duniya ne kitna samajhaya
Kaun hai apna kaun paraya
Phir bhi dil ki chot chipa kar
Hum ne aapka dil bahlaya
Khud hi mar mitne ki yeh zid hai humari
Khud hi mar mitne ki yeh zid hai humari
Sach hai duniya walon ki hum hai anadi

Dil ka chaman ujadte dekha
Pyar ka rang utarte dekha
Hum ne har jeene wale ko
Dhan daulat pe marte dekha
Dil pe marne wale marenge bhikhari
Dil pe marne wale marenge bhikhari
Sach hai duniya walon ke hum hain anadi

Asli nakli chehre dekhe
Dil pe sau sau pehre dekhe
Mere dukhte dil se pucho
Kya kya khwab sunehre dekhe
Toota jis tare pe nazar thi humari
Toota jis tare pe nazar thi humari
Sab kuch seekha hum ne na sikhi hoshiyari
Sach hai duniya walon ki hum hain anadi

bottom of page