Discover Trends. Define Your Style.
Zindagi Bhar Nahin Bhoolegi
Movie:
Barsaat Ki Raat (1960)
Music Director:
Roshan
Lyricist:
Sahir Ludhianvi
Youtube Video Link:
Zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
Ek anjaan hasina se mulaqat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi
Hai wo reshmi zulfon se barasta pani
Hai wo reshmi zulfon se barasta pani
Phool se galon pe rukne ko tarasta pani
Dil mein toofan uthate hue
Dil mein toofan uthate hue jazbaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi wo barsaat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi
Dar ke bijli se achanak woh lipatna uska
Aur phir sharm se bal kha ke simatna uska
Kabhi dekhi na suni aisi ho
Kabhi dekhi na suni aisi tilismaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi
Surkh aanchal ko daba kar jo nichoda usne
Surkh aanchal ko daba kar jo nichoda usne
Dil pe jalta hua ek teer sa choda usne
Aag pani me lagate hue
Aag pani me lagate hue halaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi
Mere naghmo mein jo basti hai woh tasveer thi woh
Naujawani ke haseen khwab ki tabeer thi woh
Aasmanon se utar aayi ho
Aasmanon se utar aayi thi jo raat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
Ek anjaan hasina se mulaqat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi