top of page
Song Title
Song Lyrics
Music Director
Lyricist
Movie
Chingari Koi Bhadke
Chingari koi bhadke Chingari koi bhadke, to savan use bhujaye Savan jo agan lagaaye, use kaun bhujaye Ho use kaun bhujaye Patjhad jo baag ujade, vo baag bahar khilaye Jo baag bahar mein ujde, use kaun khilaye Ho use kaun khilaye Humse mat pucho kaise, mandir toota sapno ka Humse mat pucho kaise, mandir toota sapno ka Logon ki baat nahin hai, ye kissa hai apno ka Koi dushman thes lagaye, to meet jiya behlaye Manmeet jo ghaav lagaye, use kaun mitaye Na jane kya ho jata, jane hum kya kar jate Na jane kya ho jata, jane hum kya kar jate Peete hain to zinda hain, na peete to mar jate Duniya jo pyasa rakhe, to madira pyas bhujaye Madira jo pyas lagaye, use kaun bhujaye Ho use kaun bhujaye Maana toofan ke aage, nahin chalta zor kisi ka Maana toofan ke aage, nahin chalta zor kisi ka Maujon ka dosh nahin hai, yeh dosh hai aur kisi ka Majdhar mein naiya dole, to manjhi paar lagaye Maanjhi jo naav duboye, use kaun bachaye Ho use kaun bachaye, chingari
R D Burman
Anand Bakshi
Amar Prem (1972)
Doli Mein Uthaye ke Kahaar
Ho rama re, ho o rama Doli me bithai ke kahaar Doli me bithai ke kahaar, lae mohe sajana ke dvar O doli me bithai ke kahaar Beete din khushiyon ke char, deke dukh man ko hazar O doli me bithai ke kahaar Mar ke nikalna tha, o, mar ke nikalna tha Ghar se sanvariya ke jeete ji nikalna pada Phulon jaise panvo me, pad gae ye chaale re Kanto pe jo chalna pada Patjhad, o ban gai patjhad, o ban gai patjhad Bairan bahar, doli me bithai ke kahaar Jitne hai ansu meri, o, jitane hai ansoo meri Ankhiyon mein, utna nadiya mein nahin re neer O likhnewale tune likh di ye kaisi meri Tooti naiya jaisi taqdeer Utha manjhi, o manjhi, utha manjhi O manjhi re, utha manjhi Uthe patavar, doli me bithai ke kahar Toota pehle mere man, o, toota pehle man ab Choodiyan tooti, yeh sare sapne yun chur Kaisa hua dhokha aaya pawan ka jhoka Mit gaya mera sindoor Lut gae, o rama, lut gae, o rama mere lut gae Solah shringar, doli me bithai ke kahaar
R D Burman
Anand Bakshi
Amar Prem (1972)
Yeh Kya Hua
Yeh kya hua, kaise hua, kab hua, ab kya sunayen Yeh kya hua, kaise hua, kab hua Kyun hua, jab hua, tab hua, o chodo, yeh na socho Ho o o yeh kya hua, kaise hua, kab hua Kyun hua, jab hua, tab hua, o chodo, yeh na socho Ho o o yeh kya hua Hum kyun shikva karen jhootha, kya hua jo dil toota Hum kyun shikva karen jhootha, kya hua jo dil toota Sheeshe ka khilona tha, kuch na kuch to hona tha, hua Yeh kya hua, kaise hua, kab hua Kyun hua, jab hua, tab hua, o chodo, yeh na socho Ho o o yeh kya hua, samjhe na Humne jo, dekha tha suna tha, kya batayen woh kya tha Humne jo, dekha tha suna tha, kya batayen woh kya tha Sapna salona tha, khatam to hona tha, hua Yeh kya hua, kaise hua, kab hua Kyun hua, jab hua, tab hua, o chodo, yeh na socho Ho o o yeh kya hua Ae dil, chal peekar jhoomein, inhi galiyon mein ghume Ae dil, chal peekar jhoomein, inhi galiyon mein ghume Yahan tujhe khona tha, badnam hona tha, hua Yeh kya hua, kaise hua, kab hua Kyun hua, jab hua, tab hua, o chodo, yeh na socho Ho o o yeh kya hua
R D Burman
Anand Bakshi
Amar Prem (1972)
Kuch To Log Kahenge
Kuch to log kahenge, logon ka kaam hai kehana Chodo bekar ki baton mein kahin beet na jaye raina Kuch to log kahenge, logon ka kaam hai kehna Chodo bekar ki baton mein kahin beet na jaye raina Kuch to log kahenge Kuch reet jagat ki aisi hai, har ek subah ki sham hui Kuch reet jagat ki aisi hai, har ek subah ki sham hui Tu kaun hai, tera naam hai kya, seeta bhi yahan badnaam hui Phir kyun sansar ki baton se, bhig gaye tere naina Kuch to log kahenge, logon ka kaam hai kehna Chodo bekar ki baton mein kahin beet na jaye raina Kuch to log kahenge Humko jo taane dete hain, hum khoye hain in rang raliyon mein Humko jo taane dete hain, hum khoye hain in rang raliyon mein Hamne unko bhi chup chup ke, aate dekha in galiyon mein Yeh sach hai jhoothi baat nahin, tum bolo ye sach hai na Kuch to log kahenge, logon ka kaam hai kehna Chodo bekar ki baton mein kahin beet na jaye raina Kuch to log kahenge, logon ka kaam hai kehna
R D Burman
Anand Bakshi
Amar Prem (1972)
Nadiya Kinare
He nadiya kinare he rai, aayi kangana Nadiya kinare he rai, aayi kangana Aise ulajh gaye, anadi sajna Aise ulajh gaye, anadi sajna Nadiya kinare he rai, aayi kangana Nadiya kinare he rai, aayi kangana Kahe panaghat upar, gayi thi chalke akeli Mare hans hans tana, sari sakhiyan saheli Gori aur jao na mano kehna Gori aur jao na mano kehna Nadiya kinare he rai, aayi kangana Nadiya kinare he rai, aayi kangana Ab khadi khadi sochun, khadi khadi sochun Dekhi hai sas nanandiya sab ka kari hai bahana Ab to suni kalai lai ke chori chori jana Bhari pada re piya se milana Bhari pada re piya se milana Nadiya kinare he rai, aai kangana Nadiya kinare he rai, aai kangana Aaise ulajh gae, anadi sajana Aaise ulajh gae, anadi sajana Nadiya kinare he rai, aai kangana Nadiya kinare he rai, aai kangana
S D Burman
Majrooh Sultanpuri
Abhimaan (1973)
Piya Bina Piya Bina Ratiya
Piya bina, piya bina piya bina, basiya Baje na baje na baje na Piya bina, piya bina piya bina, basiya Piya aise roothe ke hothon se mere sangeet rutha Piya aise roothe ke hothon se mere sangeet rutha Kabhi jab main gaun, lage mere man ka har geet jhootha Aise bichhde, ho aise bichhde moh se rasiya Piya bina, piya bina piya bina, basiya Baje na baje na baje na Piya bina, piya bina piya bina, basiya Tumhari sada bin nahi ek suni mori nagariya Tumhari sada bin nahi ek suni mori nagariya Ke chup hai papiha, mayur bol bhule ban me sanvariya Din hai suna, aa din hai suna suni ratiya Piya bina, piya bina piya bina, basiya Baje na baje na baje na Piya bina, piya bina piya bina, basiya
S D Burman
Majrooh Sultanpuri
Abhimaan (1973)
Ab To Hai Tum Se
Ab to hain tum se har khushi apni Ab to hain tum se har khushi apni Tum pe marna hai Zindagi apni Ab to hai tumse har khushi apni Jab ho gaya tum pe ye dil diwana Jab ho gaya tum pe ye dil diwana Phir chahe jo bhi kahe, humko Zamana Koyi banaye baatein chahe ab jitni Ab to hain tum se har khushi apni Tere pyar me badnam dur dur ho gaye Tere pyar me badnam dur dur ho gaye Tere saath hum bhi sanam mashoor ho gaye Dekho kahan le jaye bekhudi apni Ab to hain tums e har khushi apni
S D Burman
Majrooh Sultanpuri
Abhimaan (1973)
Loote Koi Man Ka Nagar
Loote koi man ka nagar ban ke mera sathi Loote koi man ka nagar ban ke mera sathi Kaun hai vo, apano me kabhi, aisa kahi hota hai, Ye to bada dhokha hai Loote koi man ka nagar ban ke mera sathi Yahi pe kahi hai, mere man ka chor Nazar pade to baiyan dun marod Yahi pe kahi hai, mere man ka chor Nazar pade to baiyan dun marod Jane do, jaise tum pyare ho, Vo bhi mujhe pyara hai, jine ka sahara hai Dekho ji tumhari yahi batiyan mujhako hai tadapati Loote koi man ka nagar Loote koi man ka nagar ban ke mera sathi Rog mere ji ka, mere dil ka chain Sanvala sa mukhada, usape kare nain Rog mere ji ka, mere dil ka chain Sanvala sa mukhada, usape kare nain Aise ko, roke ab kaun bhala, Dil se jo pyari hai, sajani hamari hai Ka karun mai bin usake rah bhi nahi pati La, loote koi man ka nagar Loote koi man ka nagar ban ke mera sathi
S D Burman
Majrooh Sultanpuri
Abhimaan (1973)
Meet Na Mila Re Man Ka
Meet na mila re man kaa Meet na mila re man kaa Koi to milan kaa Koi to milan kaa, karo re upaay Re meet na milaa re man kaa Meet na Chain nahi baahar, chain nahi ghar me Re chain nahi baahar Chain nahi baahar, chain nahi ghar me Man meraa dharati par, aur kabhi ambar me Usako dhundhaa, har dagar me, har nagar me Gali gali dekhaa nayan uthaaye Re meet na milaa re man kaa Meet na Roz mai apane hi, pyaar ko samajhaaun Re roz mai apane hi Roz mai apane hi, pyaar ko samajhaaun Vo nahi aayegaa, maan nahi paaun Shaam hi se prem dipak, mai jalaaun Phir wahi dipak, dun mai bujhaaye Re meet na milaa re man kaa Meet na Der se man meraa, aas liye dole Re der se man meraa Der se man meraa, aas liye dole Prit bhari baani, saaj meraa bole Koi sajani, ek khidaki bhi na khole Laakh taraane, rahaa mai sunaaye Re meet na mila re man kaa Meet na re meet na milaa re man kaa Koi to milan kaa, karo re upaay Re meet na mila re man kaa Meet na, re meet na
S D Burman
Majrooh Sultanpuri
Abhimaan (1973)
Tere Mere Milan ki Yeh Raina
Tere mere milan ki ye raina Ho tere mere milan ki ye raina Naya koi gul khilayegi Naya koi gul khilayegi Tabhi to chanchal hai tere naina Dekho na Dekho na, tere mere milan ki ye raina Nanha sa gul khilega angnaa Suni baiyaa sajegi sajnaa Nanha sa gul khilega angnaa Suni baiyaa sajegi sajnaa Jaise khele chandaa baadal me Khelega vo tere aanchal me Chandaniyaa gungunaayegi Chandaniyaa gungunaayegi Tabhi to chanchal hai tere naina Dekho na Dekho na, tere mere milan ki ye raina Tujhe thaame kai haatho se Milunga madbhari raato se Tujhe thaame kai haatho se Milunga madbhari raato se Jagaa ke ansuni si dhadkan Balamva bhar dungi teraa man Nayi adaa se sataayegi Nayi adaa se sataayegi Tabhi to chanchal hai tere naina Dekho na Dekho na, tere mere milan ki ye raina Naya koi gul khilayegi Naya koi gul khilayegi Tabhi to chanchal hai tere naina Dekho na Dekho na, tere mere milan ki ye raina
S D Burman
Majrooh Sultanpuri
Abhimaan (1973)
Teri Bindiya Re
Teri bindiya re, aay haay, teri bindiya re Teri bindiya re, aay haay, teri bindiya re Sajan bindiya le legi teri nindiya Re aay haay, teri bindiya re Tere maathe lage hain yu, jaise chanda taara Jiya mein chamke kabhi kabhi to, jaise koyi angaara Tere maathe lage hain yu Sajan nindiya Sajan nindiya le legi, le legi, le legi Meri bindiya Re aay haay, tera jhumka re Aay haay, tera jhumka re Chain lene na dega sajan tumka Re aay haay mera jhumka re Mera gehna balam tu, tose sajke dolu Bhatakte hain tere hi naina, main to kuchh na bolu Mera gehna balam tu To phir ye kya bole hai, bole hai, bole hai Tera kangna Re aay haay, mera kangna re Bole re ab to chhute na tera angna Re aay haay tera kangna re Tu aayi hai sajaniya, jab se meri banke Thumak thumak chale hai jab tu, meri nas nas khanke Tu aayi hai sajaniya, sajan ab to Sajan ab to chhute na, chhute na, chhute na Tera angna Re aay haay, tera kangna re Sajan ab to chhute na tera angna Re aay haay tera angna re
S D Burman
Majrooh Sultanpuri
Abhimaan (1973)
Kahin Dur Jab Din Dhal Jaye
Kahin dur jab din dhal jaye Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye Mere khayalon ke aangan meein Koi sapno ke deep jalaye, deep jalaye Kahin dur jab din dhal jaye Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye Kabhi yuhin, jab hui, bojhal saanse Bhar aai baithe baithe, tab yuhin aankhen Tabhi machal ke, pyaar se chalke Chuve koi mujhe par nazar na aaye, nazar na aaye Kahin dur jab din dhal jaye Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye Kahin to yeh, dil kabhi, mil nahin paate Kahin pe nikal aayen, janmon ke naate Thani si uljhan, bairi apna man Apna hi hoke sahe dard paraye, dard paraye Kahin dur jab din dhal jaye Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye Mere khayalon ke aangan mein Koi sapnon ke deep jalaye, deep jalaye Kahin dur jab din dhal jaye Saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
Salil Chowdhury
Yogesh
Anand (1971)
Page 1 of 1
bottom of page