top of page
Song Title
Song Lyrics
Music Director
Lyricist
Movie
Maut To Ek Kavita Hai
Maut tu ek kavita hai Mujhse ek kavita ka vada hai milegi mujhko Dubti nabzo me jab dard ko neend ane lage Zard sa chehra liye chand ufak tak pahuche Din abhi pani me ho rat kinare ke karib Na abhi andhera na ujala ho na abhi rat na din Jism jab khatm ho aur ruh ko sans aaye Mujhse ek kavita ka vada hai milegi mujhko
Salil Chowdhury
Yogesh
Anand (1971)
Na Jiya Laage Na
Na jiya lage na Tere bina mera kahi jiya lagena Na jiya lage na Tere bina mera kahi jiya lagena Na jiya lage na Jina bhule the kaha yaad nahi Tujhko paya hai jaha saans phir aayi wahi Jina bhule the kaha yaad nahi Tujhko paya hai jaha saans phir aayi wahi Zindagi zindagi tere siwa hay bhaye na Na jiya lage na Tere bina mera kahi jiya lage na Na jiya lage na Na jiya lage na, na jiya lage na Piya teri bawari se tera ho jaye na Na jiya lage na Piya teri bawari se tera ho jaye na Tum agar jao kabhi jao kahi Waqt se kehna jara wo thehar jaye wahi Tum agar jao kabhi jao kahi Waqt se kehna jara wo thehar jaye wahi Wo ghadi wo ghadi wahi rahe na jaye na Na jiya lage na Tere bina mera kahi jiya lagena Na jiya lage na
Salil Chowdhury
Yogesh
Anand (1971)
Maine Tere Liye
Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune, sapne surile sapne Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune, sapne surile sapne Kuchh hans ke, kuchh gam ke Teri aankho ke saaye churaye, rasili yaado ne Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune, sapne surile sapne Chhoti baate, chhoti chhoti baato ki hai yaade badi Bhule nahi biti hui ek chhoti ghadi Chhoti baate, chhoti chhoti baato ki hai yaade badi Bhule nahi biti hui ek chhoti ghadi Janam janam se aankhe bichhaai tere liye in raaho me Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune, sapne surile sapne Bhole bhaale, bhole bhaale dil ko bahalate rahe Tanhaayi me tere khayalo ko sajate rahe Bhole bhaale, bhole bhaale dil ko bahalate rahe Tanhaayi me tere khayalo ko sajate rahe Kabhi kabhi ko aavaz dekar mujhko jagaya khwabo ne Maine tere liye hi saat rang ke sapne chune, sapne surile sapne
Salil Chowdhury
Yogesh
Anand (1971)
Zindagi Kaisi hai Paheli Hai
Zindagi kaisi hai paheli, haaye Kabhi to hasaaye, kabhi ye rulaaye Zindagi kaisi hai paheli, haaye Kabhi to hasaaye, kabhi ye rulaaye Kabhi dekho man nahi jaage Peeche peeche sapno ke bhaage Kabhi dekho man nahi jaage Peeche Peeche sapno ke bhaage Ek din sapno ka raahi Chalaa jaaye sapno se aage kahan Zindagi kaisi hai paheli, haaye Kabhi to hasaaye, kabhi ye rulaaye Jinhone sajaae yahan mele Sukh-dukh sang-sang jhele Jinhone sajaye yahan mele Sukh-dukh sang-sang jhele Vahi chunkar khamoshi Yun chale jaae akele kahaan Zindagi kaisi hai paheli, haaye Kabhi to hasaaye, kabhi ye rulaaye
Salil Chowdhury
Yogesh
Anand (1971)
Janam Jane Jaan
Janam jane jaan, janam jane jahan Jane jigar janeman mujhko hai teri kasam Tu jo mujhe na mila mar jaungi main sanam Jane jigar janeman mujhko hai teri kasam Tu jo mujhe na mili mar jaunga main sanam O rokega hamko ab kya jamana Mar ke hume hai wada nibhana Janejigar janeman mujhko hai teri kasam Tu jo mujhe na mila mar jaungi main sanam Main Phulon se, kaliyon se, taaron se teri maang bhar dunga Main Phulon se, kaliyon se, taaron se teri maang bhar dunga Main saanso ki mehki baharon ko tere naam kar dunga Main pyar tujhse karti hun din raat aahen bharti hun Aahen bharti hun, aahen bharti hun Jane jigar janeman mujhko hai teri kasam Tu jo mujhe na mili mar jaunga main sanam Jane jigar jaane man mujhko hai teri kasam Tu jo mujhe na mila mar jaungi main sanam Bin tere gujarte hain kaise mere din raat na puchho Bin tere gujarte hain kaise mere din raat na puchho Jo dil me chupi hai mere hamnashin wo baat na puchho Do dil jab dhadakte hain aise hi tadapte hain Aise hi tadapte hain aise hi tadapte hain Jane jigar janeman mujhko hai teri kasam Tu jo mujhe na mila mar jaungi main sanam O rokega humko ab kya zamana Mar ke hume hai wada nibhana Janejigar janeman mujhko hai teri kasam Tu jo mujhe na mila mar jaungi main sanam Janam janejaan, janam jane jahan Janam janejaan, janam jane jahan
Nadeem Shravan
Sameer
Aashiqi (1990)
Mera Dil Tere Liye
Mera dil tere liye dhadakta hai Dhadakta hai Dekhun jo tujhe to yeh dil behakta hai Behakta hai Zara pass aa tere lab chum lu Main kya chahti hun main kaise kahun Zara pass aa tere lab chum lu Main kya chahti hu main kaise kahun Sameto na bahon mein yeh gora badan Bujhegi bhala kaise dil ki lagan Koi shola seene mein bhadakta hai Bhadakta hai Ho naya dard hai ye to nayi pyas hai Jawani ka pehla ehsas hai Naya dard hai yeh to nayi pyas hai Jawani ka pehla ehsas hai Mohabbat ka dil pe nasha cha gaya Kuch bhi ho jaanam maza aa gaya Ke ab dil sambhale na sambhalta hai Sambhalta hai Mera dil tere liye dhadakta hai Dhadakta hai
Nadeem Shravan
Sameer
Aashiqi (1990)
Ab Tere Bin Ji lenge Hum
Ab tere bin ji lenge hum Zeher zindagi ka pilenge hum Kya hua jo ek dil toot gaya Kya hua jo ek dil toot gaya Ab tere bin ji lenge hum Zeher zindagi ka pee lenge hum Teri aashiqi bhi yeh kya rang layi Wafa maine ki tune ki bewafai Meri bhul thi main yeh kya chahta tha Kisi bewafa se wafa chahta tha Tu jane kya bekrari bedard bemuravat Ja sang dil hasina dekhi teri mohabat Bb maine jana tujhko beraham Ab tere bin ji lenge hum Zeher zindagi ka pee lenge hum Sanam tod deta mohabat ke Vaade Agar jaan jata main tere irade Kise maine chaha kaha dil lagaya Main nadan tha kuch samajh hi na paya Mere aansuon ke moti aankho me behta pani Mere tute dil ke tukde tere pyar ki nishani Kaise main bhulunga tere sitam Ab tere bin ji lenge hum zeher zindagi ka pilenge hum Kya hua jo ek dil toot gaya Kya hua jo ek dil toot gaya Ab tere bin ji lenge hum Zeher zindagi ka pee lenge hum Ji lenge hum Ji lenge hum Ji lenge hum Ji lenge hum
Nadeem Shravan
Sameer
Aashiqi (1990)
Main Duniya Bhula Dunga
Main duniya bhula dunga teri chahat mein, Main duniya bhula dunga teri chahat mein. O dushman Zamana mujhe na bhulana, Main khudko mita dunga teri chahat mein. Main duniya bhula dungi teri chahat mein, Main duniya bhula dungi teri chahat meen. Tera saath chuta ke wada jo toota, Main khudko mita dungi teri chahat mein. Main duniya bhula dunga teri chahat mein. Meri saase teri khushboo, mere dil mein teri dhadkan, Meri mehafil teri baatein, meri aankhen tera darapan. Bin tere kuchh bhi nahi main, Bin tere kuchh bhi nahi main. Main har ghum utha lungi teri chahat mein, Tera saath chuta ke wada jo toota, Main khudko mita dungi teri chahat mein. Main duniya bhula dunga teri chahat mein. Seene se lag ja tu main hu tera deewana, Mujhe tujhse milne se rokega kya Zamana. Chodunga na saath tera chodunga na saath tera. Main sab kuch loota dunga teri chahat mein, O dushman Zamana mujhe na bhulana, Main khudko mita dunga teri chahat mein. main duniya bhula dungi teri chahat mein. Tera saath chuta ke waada jo toota, Main khudko mita dungi teri chahat mein. Main duniya bhula dunga teri chahat mein. Teri chahat mein haan teri chahat mein.
Nadeem Shravan
Sameer
Aashiqi (1990)
Dil ka Aalam
Dil ka aalam main kya bataun tujhe, Dil ka aalam main kya bataun tujhe. Ek chehre ne bahut, ek chehre ne bahut, Pyar se dekha mujhe. Dil ka aalam main kya bataun tujhe, Dil ka aalam main kya bataun tujhe. Ek chehre ne bahot, ek chehre ne bahot, pyar se dekha mujhe. Dil ka aalam main kya bataun tujhe. woh mere saamne baithi hai magar, Us se kuch baat na ho paayi hai. Main ishara bhi agar karta hu, isme hum dono ki rusvayi hai, isme hum dono ki rusvayi hai. Dil ka aalam main kya bataun tujhe, Dil ka aalam main kya bataun tujhe. Woh to hotho se kuch bhi kehti nahi, uski aankhon mein ek kahani hai, Us kahani me naam hai mera. Mujhpe kudrat ki meharbani hai, Mujhpe kudrat ki meharbani hai. Dil ka aalam main kya bataun tujhe, Dil ka aalam main kya bataun tujhe. Ek chehre ne bahot, ek chehre ne bahot, pyar se dekha mujhe. Dil ka aalam main kya bataun tujhe.
Nadeem Shravan
Sameer
Aashiqi (1990)
Tu meri zindagi hai
Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai, Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai. Tu hi pyar, tuhi chahat, tu hi aashiqi hai, Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai. Pehli mohabat ka ehsas hai tu, Pehli mohabat ka ehsas hai tu. Bujh ke bhi bujh na payi wo pyas hai tu, Tu hi meri pehali khwahish tu hi aakhri hai. Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai. Har zakhm dil ka tujhe dil se duva de, Har zakhm dil ka tujhe dil se duva de. Khushiyan tujhe gam saare mujhko khuda de, Tujhko bhula na paya meri bebasi hai. Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai. Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai, tu hi pyar, tu hi chahat tu hi aashiqi hai. Tu meri zindagi hai, tu meri har khushi hai.
Nadeem Shravan
Sameer
Aashiqi (1990)
Nazar ke Samne
Nazar ke saamne, jigar ke pass, Nazar ke saamne, jigar ke pass, koi rehta hai, wo ho tum. Nazar ke saamne, jigar ke pass, Nazar ke saamne, jigar ke paas, Koi rehta hai, wo ho tum. Nazar ke saamne, jigar ke paas. Betaabi kya hoti hai, pucho mere dil se, Betaabi kya hoti hai, pucho mere dil se, Tanha tanha lauta hun, main to bhari mehfil se, Mar na jau kahin, mar na jau kahin, hoke tumse juda. Nazar ke saamne, jigar ke pass, Nazar ke saamne, jigar ke paas, Koi rehta hai, wo ho tum. Nazar ke saamne, jigar ke paas. Tanhai jine na de, bechaini tadpaye, Tanhai jine na de, bechaini tadpaye, Tumko main na dekhun to, dil mera ghabraye, Ab mujhe chod ke, ab mujhe chod ke, Dur jana nahin. Nazar ke saamne, jigar ke pass, Nazar ke saamne, jigar ke paas, Koi rehta hai, wo ho tum. Nazar ke saamne, jigar ke paas. Nazar ke saamne, jigar ke paas, Koi rehta hai, wo ho tum.
Nadeem Shravan
Sameer
Aashiqi (1990)
Sanson ki Zarurat Aashiqi
sanson ki Zarurat hai jaise, sanson ki zarurat hai jaise zindagi ke liye, bas ek sanam chahiye aashiqi ke liye. Jaam ki zarurat hai jaise, Jaam ki zarurat hai jaise bekhudi ke liye, Haan ek sanam chahiye aashiqi ke liye, Bas ek sanam chahiye aashiqi ke liye. Waqt ke hathon mein sabki takdiren hain, waqt ke hathon mein sabki takdiren hain. Aaina jhootha hai sachi tasveeren hain, Jahan dard hai wahin jeet hai, jahan pyas hai wahin meet hai, koi na jaane magar jeene ki yehi reet hai. Saaz ki zarurat hai jaise, saaz ki zarurat hai jaise mausiqi ke liye, Bas ek sanam chahiye aashiqi ke liye, Haan ek sanam chahiye aashiqi ke liye. Manzilen hasil hain fir bhi ek doori hai, Manzilen hasil hain fir bhi ek doori hai. Bina humrahi ke zindagi adhuri hai, Milegi kahin koi rehgujar, Tanha katega kaise ye safar, Mere sapne hon jahan dhoondhu main aisi nazar. Chand ki zarurat hai jaise, Chand ki zarurat hai jaise chandni ke liye, Bas ek sanam chahiye aashiqi ke liye. Sanson ki zarurat hai jaise, sanson ki zarurat hai jaise zindagi ke liye. Bas ek sanam chahiye aashiqi ke liye, Bas ek sanam chahiye aashiqi ke liye. aashiqi ke liye aashiqi ke liye, aashiqi ke liye aashiqi ke liye.
Nadeem Shravan
Sameer
Aashiqi (1990)
Page 1 of 1
bottom of page