top of page
Discover Trends. Define Your Style.
Song Title | Song Lyrics | Music Director | Lyricist | Movie |
|---|---|---|---|---|
Rasik Balma | Rasik balma haye dil kyun lagaya,
tohse dil kyun lagaya.
Jaise rog lagaya, jaise rog lagaya,
Rasik balma ho.
Jab yaad aaye tihari surat woh pyari pyari,
jab yaad aaye tihari surat woh pyari pyari.
Neha laga ke haari, aaa neha laga ke haari,
Tadapun main gam ki maari.
Rasik balma haye dil kyun lagaya,
Tohse dil kyun lagaya,
Jaise rog lagaya, rasik balma ho
Dhoondhe hain pagal naina paaye na ek pal chaina,
Dhoondhe hain pagal naina paaye na ik pal chaina.
Dansti hai ujdi raina, aaa dansti hai ujdi raina,
Kaase kahun main baina.
Rasik balma haye dil kyun lagaya,
Tohse dil kyun lagaya,
Jaise rog lagaya, rasik balma ho | Shankar Jaikishan | Hasrat Jaipuri | Chori Chori (1956) |
Panchi banu udti firun mast | Panchi banu udti firun mast gagan mein,
aaj main azad hun duniya ki chaman mein,
panchi banu udti firun mast gagan mein,
aaj main azad hun duniya ki chaman mein.
hillori hillori
O mere jivan mein chamka savera,
O mita dil se wo gum ka andhera.
O hare kheton mein gaaye koi lehra,
o yahan dil par kisika na baira.
Rang baharon ne bhara mere jeevan mein,
Rang baharon ne bhara mere jeevan mein,
Aaj main azad hun duniya ki chaman mein.
panchi banun udti firun mast gagan mein,
aaj main azad hun duniya ki chaman mein.
O dil ye chahe baharon se khelu,
O gori nadiya ki dhaaro se khelu,
O chand suraj sitaro se khelu,
O apni bahon mein aakash lelu.
Badhti chalun gaati chalun apni lagan mein,
Badhti chalun gaati chalun apni lagan mein,
Aaj main azad hun duniya ke chaman mein.
panchi banun udti firun mast gagan mein,
aaj main azad hun duniya ki chaman mein.
hillori hillori
O main to odhungi badal ka aanchal,
O main to pehnungi bijli ki payal,
O cheen lungi ghataon se kajal,
O mera jeevan hai nadiya ki halchal.
Dil se mere leharen uthen thandi pavan mein,
Dil se mere leharen uthen thandi pavan mein,
Aaj main azad hun duniya ke chaman mein.
panchi banun udti firun mast gagan mein,
aaj main azad hun duniya ki chaman mein.
panchi banun udti firun mast gagan mein,
aaj main azad hun duniya ki chaman mein. | Shankar Jaikishan | Hasrat Jaipuri | Chori Chori (1956) |
Jahan main jaati hu wahin chale | Jaha main jaati hu wahi chale aate ho
chori chori mere dil me samate ho
ye to batao ke tum mere kaun ho
jaha main jaati hu wahi chale aate ho
chori chori mere dil me samate ho
ye to batao ke tum mere kaun ho
dil ki dil se lagan ki ye baat hai
pyar ki raah rasam ki ye baat hai
mujhse na puchho ke tum mere kaun ho
o.. main to shor machaaungi, shor machaaungi
o.. main to shor machaaungi
karni tumhari sabko bataaungi
karni tumhari sabko bataaungi
khair jo chaaho chale jaao mere dar se
chhodo ye aana jaana dil ki dagar se
ye to batao ke tum mere kaun ho
o.. maine kya bura kiya hai, kya bura kiya hai
o.. maine kya bura kiya hai
dil de kar hi dil le liya hai
dil de kar hi dil le liya hai
kisi bade gyaani jaani ko bulao
abhi abhi yaha faisala karao
mujhse na puchho ke tum mere kaun ho
o.. dil hi jab huye deewane, jab huye deewane
kahna hamara ab kaun maane
kahna hamara ab kaun maane
jaha main jaati hu wahi chale aate ho
chori chori mere dil me samate ho
ye to batao ke tum mere kaun ho
mujhse na puchho ke tum mere kaun ho
ye to batao ke tum mere kaun ho | Shankar Jaikishan | Hasrat Jaipuri | Chori Chori (1956) |
Yeh Raat Bheegi Bheegi | Yeh raat bheegi bheegi, Yeh mast fizayen,
Uthha dheere dheere woh Chand pyara pyara.
Kyun aag si laga ke Gumsum hai chandni,
Sone bhi nahin deta Mausam ka yeh ishara.
Itlati hawa neelam sa gagan Kaliyo pe yeh behoshi ki nami,
Aise me bhi kyun bechain hain Dil jeevan me na jane kya hain kami.
Kyun aag si laga ke Gumsum hai chandni,
Sone bhi nahin deta Mausam ka yeh ishara.
Yeh raatbheegi bheegi, Yeh mast fizayen,
Uthha dheere dheere woh Chand pyara pyara.
Jo din ke ujale me na Mila dil dhundhe aise sapne ko,
Is raat ki jagmag me dubi Mai dhundh rahi hoo apne ko.
Yeh raat bheegi bheegi, Yeh mast fizayen,
Uthta dheere dheere woh Chand pyara pyara.
Kyun aag si laga ke Gumsum hai chandni,
Sone bhi nahin deta Mausam ka yeh ishara.
Aise me kahi kya koyi nahi Bhule se jo hum ko yaad kare,
Ek halki si muskaan se jo Sapno ka jahan aabad kare.
Yeh raat bheegi bheegi, Yeh mast fizayen,
Uthta dheere dheere woh Chand pyara pyara.
Kyun aag si laga ke Gumsum hai chandni,
Sone bhi nahin deta Mausam ka yeh ishara. | Shankar Jaikishan | Hasrat Jaipuri | Chori Chori (1956) |
Aaja Sanam Madhur Chandni mein hum | Aaja sanam Madhur chaandani men hum,
tum mile to Viraane mein bhi aa jayegi bahaar.
Jhumne lagega aasman, jhumne lagega asman.
Kehta hai dil aur machalta hai dil,
More sajan le chal mujhe taron ke paar.
Lagta nahin hai dil yahan, lagta nahin hai dil yahan.
Bheegi bheegi raat mein, dil ka daaman tham le,
Khoi khoi zindagi, har dam tera naam le.
Chand ki behki nazar, keh rahi hai pyar kar,
Zindagi hai ek safar, kaun jane kal kidhar.
Dil ye chahe aaj to, badal ban ud jaun main,
Dulhan jaisa aasman, dharti par le aun main.
Chand ka dola saje, dhoom taron men mache,
Jhum ke duniya kahen, pyaar men do dil mile.
| Shankar Jaikishan | Hasrat Jaipuri | Chori Chori (1956) |
Page 1 of 1
bottom of page