Din Dhal Jaye haye, Raat na Jaye
Lyrics of the Song, Dil Dhal Jaye from the movie, Guide

Din dhal jaye, haye raat na jaye
Tu to na aaye, teri yaad sataye
Pyar men jinke, sab jag choda aur hue badnam,
Uake hi haathon haal hua ye, baithe hain dil ko tham
Apne kabhi the, ab hain paraye
Din dhal jaye, haye raat na jaye
Tu to na aaye, teri yaad sataye
Aisi hi rimjhim, aisi fuharen, aisi hi thi barsaat,
Khud se juda aur jag se paraye, hum dono the saath,
Fir se wo sawan ab kyon na aaye?
Din dhal jaye, haye raat na jaye
Tu to na aaye, teri yaad sataye
Dil ke mere paas ho itni, fir bhi ho kitni dur,
Tum mujhse, main dil se pareshan, dono hain majboor,
Aise mein kis ko kaun manaye?
Singer: Mohammad Rafi
Music Director: Sachin Dev Burman
Movie: Guide (1965)